Thursday, June 10, 2010

SAB BUSY HAIN

Episode 1


Scene 1:

Two friends enter on stage talking…….. and then suddenly…..

Friend 1 ( Rahul)- abe wo dekh wo to imraan hain naa??
Oye Imraan Imraan……..

Imraan enters the stage…..

Imraan: Oye Rahul aur suna kaisa hai??

Friend 2 (KK): Abe pata hai college ka result aa gaya kya hua tera……

Imraan: (Happy and exited) Oye Top kiya hai maine…..
Tum logon ka kya hua bata KK kya hua tera…??

KK: Bas yaar paas ho gaye ham to kisi tarah kheech taan kar ke….

Imraan: Aur saale tu??

Rahul: abe mai phir se fail ho gaya yaar …

Imraan, KK: (Laugh) abe kaha tha sale padh le padh le…….; chal chod waise bhi tujhe karma hi kya hai gaaon jaa k bail hi to chalayaega……….hahahahahaaa……..

Rahul: Theek hai par trujhe party deni padegi aur is baar koi bahaana nai chalega……bol kahan le chalta hai??

Imraan: yaar party kabhi aur le lena abhi ghar se paise nai aaye…… chal abhi chai pilaata hut um logon ko mast waali…..

Friends: Dekha kitna bada waala kamina hai….. emotional blackmail karta hai saala……..

Imraan: nai yaar aisi baat nai hai…..next time pakka party hogi……..
(Shouts) Oye Santosh teen chaye dena….

Rahul: teen cream role bhi dena…. Saala kanjoos chai me hi nipatna chahta hai bas….
Entry of two police officers…

Police man 1: K ho raa hai bhai yahan pe???

KK: Chai pee rahe the sir………

Police man 2: Naam k hai tera??

KK: K……K..

Police man: KK sasur ye kaise naam hovo………(Angry) pura naam bata…..

KK: Sir Krishna Kant…..

Police men: Hmmm…..mmmmmmm………….., Tera kya naam hai be??

Rahul: Sir ji Rahul……..

Police men: Aur tu kaun hai be Card bheju kya tane…. Naam poochan vaste….??

Imran: S…ir…. I..mr.aan…

Policemen: (Exclaimed, together) Imraa…a…an… Bhai Imraan hain yo……

Kahan ka rahne walla hai bhai??

Imraan: Aazzamg..arh S..sirr…..

Policeman 1: Baap k kare hai tera??

Policeman : Karta k hoga bomb banataa hoga…..
Chal thane chal bhai…!! Thaane Chal…

Imraan: Nnnna…i ss..ir…..,, Thaane kyu??

KK & Rahul: Kya hua sir….. Thaane kyu le jaa rahe ho???

Policemen: Jaada na English bolne ki jarurat naa se….. ghar jaa apne roti shoti araam se khaa bhai police se jada sawal jawab karega to ander dhar dunga ….. samajhyo??
Haan… bhai Imraan……. Tu chal thane……

(Imraan tries to run and escape to save himself from the cops)

Total chaos and the noise of the students running…. And policemen shouting…asking to stop….bullet shot and ……………


Scene 2:

News Programme on Television:

News Anchor: Namaskar, PTV par aapka swagat hai aap dekh rahein hain hamaara special bulletin “Kaise Mara Aatankwaadi??”
Aur is waqt studio me hamaare saath maujood hain wo do jaanbaaz police officer …… jinhone maar giraaya hai is khunkhaar aatankwaadi ko………... Swagat karte hain Inspector Sher Singh aur Inspector Narssimha Prasad ji…..

Policemen: Dhnyawaad ji thank you….

Anchor: To bataiye kis tarah aapne ghatna ko anjaam diya……. ??

Policeman 1: Darasal hamein aapne sources aur intelligencese pata chala k kuch aatankwaadi dilli me aa chuke hain….aur koi badi ghatna anjaam dene waalein hain…bas tabse hamne tafteesh shuru kar di….. to pata chala k Imraan naam ka ye banda yahan meeting kar raha hai…..

Anchor: Aur koi jaankaari bhi mili thi aapko?

Policeman 2: Ji Hamein pata chala ke uske ghar aksar kuch sandhigd log aate rahte hain…. Aur jab hamne uske ghar ki talaashi lee to to wahan se hamein 2 sim cards, ek 250 GB ki hard disk… aur laptop me saddam hussain aur osama bin laden jaise logon ki tasweerein thi….. Jisse ye saaf zaahir hota hai k wo in logon ko apna aadarsh manta tha aur inke jaisa banna chahta tha…

Anchor: Ji…ji…

Policeman 1: Aur uske mobile se jo photo uski hamein mili usme isne wanted likh raha tha jisse ye shheshe tarah saaf ho jaata hai k uski ek bada apraaddhi banne ki mansha thi…..

Anchor: Ji bahut bahut shukriya aap dono ka k aap hamaare studio me aaye aur hamse baat ki. Jaate jaate aap desh ki janta ko kya sandesh dena chahenge??

Policeman: Bas yahi kahna hai ki kisi bhi vyakti ko makaan na de… aur kisi baat par bhi bilkul naa ghabraaye desh ki police aapki suraksha k liye aapke saath hai…

“With You For you Always”


Narration: Maara gaya ek aur Aatankwaadi……milega phir se kisi officer ko paramveer….. Ham aapko is nizaam me rahne ki mubarakbaad deta hu…. Jahan bomb phatne k baad hi police aatankwaadi ko maar giraati hai……. Ek aisa nizaam jahan aapki Daadhi, aapki topi, aapka kurta aapka sherwaani …… maaf kijiyega par aapke rahne ki jagah aur aapka bolne ka lahja bhi aapke aatankwaadi hone ka suboot hota hai……..

Agar aap sochte hain k aisa sirf desh k musalmaano k sath hota hai to aap ghalat hain…. Aaiye le chalet hain aapko hindustaan ke ek gaon me jahan logon ko aise hi maara jaata hai par yahan wajah unki daadhi aur topi nai bilki kuch aur hota hai…..




Episode 2

Scene 1:

Dalit leader: (Delivering Speech) Is baar aap sab ne apni dalit jaat ki ummidwaar sushri. Sharda devi ne vote dena hai…… aur apni jaat ne majboot bananaana hai……..

(A Woman in the frame asking for votes, this will be depicted by her postures and body language)

Scene 2:

(Two or three men trying to catch someone in anger)

Men shouting: Fadh Fadh saali nu………. Oye chodna nai oye ona nu……

(A woman in the frame running and trying to escape…. She is scared and suddenly she falls down……….. those men rape her…….)

Men: Oye Sharda election me naa khadi hoyin….. aur je tu police main gayi…… pura dalitan k gaaon jala dewenge…….na bachongo dalit aur na tu chunaav jeetegi…..

Sharda Devi: Mai jawangi police mein…… ladangi apne dalitan waste….. Main ladaangi….. ladaangi main…….

Scene 3:

(People assembled at a meeting and Sharda Devi delivering Speech………. Suddenly few Police men and those three men arrive and……..)

Policeman: K ho raha hai bhai yahan pe…….?? Thakooran k khilaaf logon ko bhadka rahi hai tu……!!!!!

Thakur 1: Kaha tha naa Police me naa jayin…. Maaro ena nu….. hath pair tod do saali ke……

(A total chaos riots type scene formation and then the actors freeze……..)


Episode 3

Scene 1:

(Rahul and KK are back in the frame……)

Rahul: Yaar papa ka phone aaya tha kal hi gaaon bulaya hai….. … kah rahe the gaon me koi factory lag rahi hai aur wo hamaari saari zameen le rahe hain…… papa bahut pareshaan the yaar……

KK: Abe par ye hamaare bhale aur desh ki tarakki k liye hi to ho raha hai…..!!! tu bina baat ka jazbaati ho raha hai….. development k liye ye zaruri hai…….

Rahul: Yaar to kya development k liye gharib gaon waalon ki zameene lene zaruri hai?? Yaar us zameen pe kheti kar k gaon waala ka ghar chalta hai……… kuch bhi ho mai unhe apni zameen lene nai dunga……. Kal hi gaon jaa raha hu main……. Dekhte hain kaise lete hain wo hamaari zameene……..

Scene 2:

(Rahul in his village… leading a protest demo………

Ambiance: Jaan denge…….. zameen nai denge….. jaaann denge….

(Police lathicharges over the protest and also use gun shots…. Chaos on the stage and the actors freeze……….)

Scene 3:

(A minister in the frame giving explanation on this massacre)

Minister: Dekhiye ye jitney log bhi mare gaye hain…..wo gaaonwaale nai the aatankwaadi the……. Naxalite the……hamne jaanch k liye ek committee bana dee hai…. Wo aisi saari ghatnao ki jaanch karegi……..

Dhnyawaad…………

Jai Bharat………



Narrator: Ji mubarak ho ban gayi hamaare desh me ek aur jaanch committee…. Jo karegi encounter aur fake hatyaaon ki jaanch……. Lekin kahaani yahan khatam nai hoto 5 saal banegi ek aur committee jo us committee ki jaanch me huyi dhandhliyon ki jaanch karegi……aur banti rahegi desh me comitee pe committee ………..busy hainsab k sab committee banana me sachai ki baat karne ka time kisi k paas nai hai……..